āgahī  ke  dar  khule  to  zindagī  achchhī  lagī
ham-damoñ  kī  bhiiḌ  meñ  begāngī  achchhī  lagī
shahr  ke  har  moḌ  par  āvāz  ke  jañgal  mile
ham  ko  apne  gaañv  hī  kī  ḳhāmushī  achchhī  lagī
yuuñ  to  ham  dete  rahe  tere  savāloñ  kā  javāb
haañ  magar  ai  dost  terī  sādgī  achchhī  lagī
tajziya  hālāt  kā  ham  har  tarah  karte  rahe
jab  samajh  aajiz  huī  be-mā.egī  achchhī  lagī
vāqif-e-ādāb-e-mai-ḳhāna  huā  to  'nūr'  ko
mai-kashī  ke  bil-muqābil  tishnagī  achchhī  lagī