kyuuñ  shahr  meñ  har-samt  se  uThtā  hai  dhuāñ  dekh
kyā  haal  mohalle  kā  hai  jā  apnā  makāñ  dekh
āfāq  uḌānoñ  ke  abhī  aur  bahut  haiñ
ai  tā.ir-e-parvāz  kabhī  apnā  jahāñ  dekh
detā  nahīñ  nafrat  kā  shajar  dhuup  meñ  saaya
behtar  hai  koī  sāya-e-dīvār  amaañ  dekh
ākāsh  ye  tāroñ  kī  ziyā  dekhne  vaale
agle  hai  zamīñ  chāñd  bhī  sūraj  bhī  yahāñ  dekh
lagtā  hai  koī  tiir  jigar  chiir  ke  nikle
lachke  hai  sitamgar  tire  abrū  kī  kamāñ  dekh
kyuuñ  kahte  haiñ  sab  mujh  ko  buzurg  aap  buzurg  aap
aa  tū  bhī  mire  māthe  pe  sajdoñ  ke  nishāñ  dekh
kahnā  hī  paḌā  'nūr'  ke  ash.ār  ko  sun  kar
kyā  ḳhuub  hai  zālim  kā  bhī  andāz-e-bayāñ  dekh