Chakbast Brij Narayan

na koi dost dushman ho sharik-dard-o-gham mera

Chakbast Brij Narayan

Faizabad, Uttar pradesh, India

1882-1926

na koī dost dushman ho sharīk-dard-o-ġham merā

salāmat merī gardan par rahe bār-e-alam merā

likhā ye dāvar-e-mahshar ne merī fard-e-isyāñ par

ye vo banda hai jis par naaz kartā hai karam merā

kahā ġhuncha ne hañs kar vaah kyā nairañg-e-ālam hai

vajūd gul jise samjhe haiñ sab hai vo adam merā

kashākash hai ummīd-o-yās ye zindagī kyā hai

ilāhī aisī hastī se to achchhā thā adam merā

dil-e-ahbāb meñ ghar hai shagufta rahtī hai ḳhātir

yahī jannat hai merī aur yahī bāġh-e-iram merā

mujhe ahbāb pursish ġhairat maar Dālegī

qayāmat hai agar ifshā huā rāz-e-alam merā

khaḌī thiiñ rāsta roke hue lākhoñ tamannā.eñ

shahīd-e-yās huuñ niklā hai kis mushkil se dam merā

ḳhudā ne ilm baḳhshā hai adab ahbāb karte haiñ

yahī daulat hai merī aur yahī jāh-o-hasham merā

zabān-e-hāl se ye lucknow ḳhaak kahtī hai

miTāyā gardish-e-aflāk ne jāh-o-hasham merā

kiyā hai faash parda kufr-o-dīñ is qadar maiñ ne

ki dushman hai barhaman aur adū shaiḳh-e-haram merā

Top Urdushayar.com