Chakbast Brij Narayan

dil kiye tasKHir baKHsha faiz-e-ruhani mujhe

Chakbast Brij Narayan

Faizabad, Uttar pradesh, India

1882-1926

dil kiye tasḳhīr baḳhshā faiz-e-rūhānī mujhe

hubb-e-qaumī ho gayā naqsh-e-sulaimānī mujhe

manzil-e-ibrat hai duniyā ahl-e-duniyā shaad haiñ

aisī dil-jam.ī se hotī hai pareshānī mujhe

jāñchtā huuñ vus.at-e-dil hamla-e-ġham ke liye

imtihāñ hai ranj-o-hirmāñ farāvānī mujhe

haq-parastī jo maiñ ne but-parastī chhoḌ kar

barhaman kahne lage ilhād baanī mujhe

kulfat-e-duniyā miTe bhī to saḳhī ke faiz se

haath dhone ko mile bahtā huā paanī mujhe

ḳhud-parastī miT ga.ī qadr-e-mohabbat baḌh ga.ī

mātam-e-ahbāb hai tālīm-e-rūhānī mujhe

qaum ġham mol le kar dil ye aalam huā

yaad bhī aatī nahīñ apnī pareshānī mujhe

zarra zarra hai mire kashmīr mehmāñ-navāz

raah meñ patthar ke TukḌoñ ne diyā paanī mujhe

lucknow meñ phir huī ārāsta bazm-e-suḳhan

baad muddat phir huā zauq-e-ġhazal-ḳhvānī mujhe

Top Urdushayar.com