Munshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi

tumko agar hamari mohabbat nahin rahi

Munshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi

Delhi, India

1836-1905
tum ko agar hamārī mohabbat nahīñ rahī
ham ko bhī ab adū se adāvat nahīñ rahī
har ik adā pe marne kī aadat nahīñ rahī
vo dil nahīñ rahā vo tabī.at nahīñ rahī
mazmūn-e-mudda.ā abhī dil meñ hī thā mire
kahte haiñ ab to tāb-e-samā.at nahīñ rahī
vaañ hai vahī vufūr-e-itāb-o-jafā-o-qahr
yaañ naaz bhī uThāne kī tāqat nahīñ rahī
be-shak naqāb-e-ruḳh se uThāyā kisī ne aaj
zulmat-kade meñ mere jo zulmat nahīñ rahī
'mushtāq' tere ishq kī hai dhuum āj-kal
ab qais-o-kohkan kī vo shohrat nahīñ rahī
Top Urdushayar.com