tum  ko  agar  hamārī  mohabbat  nahīñ  rahī
ham  ko  bhī  ab  adū  se  adāvat  nahīñ  rahī
har  ik  adā  pe  marne  kī  aadat  nahīñ  rahī
vo  dil  nahīñ  rahā  vo  tabī.at  nahīñ  rahī
mazmūn-e-mudda.ā  abhī  dil  meñ  hī  thā  mire
kahte  haiñ  ab  to  tāb-e-samā.at  nahīñ  rahī
vaañ  hai  vahī  vufūr-e-itāb-o-jafā-o-qahr
yaañ  naaz  bhī  uThāne  kī  tāqat  nahīñ  rahī
be-shak  naqāb-e-ruḳh  se  uThāyā  kisī  ne  aaj
zulmat-kade  meñ  mere  jo  zulmat  nahīñ  rahī
'mushtāq'  tere  ishq  kī  hai  dhuum  āj-kal
ab  qais-o-kohkan  kī  vo  shohrat  nahīñ  rahī