Rafique Khayal

dur tak dasht mein ujala hai

Rafique Khayal

duur tak dasht meñ ujālā hai
jaane kis qahr kā havāla hai
phir ugalne lagī hai aag zamīñ
phir koī qatl hone vaalā hai
shahr-e-ḳhush-baḳht kā makīñ huuñ magar
gird mere ġhamoñ kā haala hai
dil ne ġham kā alaav lafzoñ meñ
kis mahārat se aaj Dhālā hai
jurm sarzad huā thā aadam se
mujh ko jannat se kyuuñ nikālā hai
terī ik aarzū ne logoñ ko
kis qadar uljhanoñ meñ Daalā hai
ik sazā-yāfta-e-ishq ne aaj
mansab-e-ishq phir sambhālā hai
phir 'ḳhayāl'-e-sitam-zada meñ koī
ḳhushbū-añgez misl-e-lāla hai
Top Urdushayar.com