zindagī  ko  harām  mat  karnā
shauq  ko  be-lagām  mat  karnā
shohrateñ  bhī  burī  balā.eñ  haiñ
in  ko  tum  apne  naam  mat  karnā
ho  na  jaa.e  gumān  sajdoñ  kā
itnā  jhuk  kar  salām  mat  karnā
log  tujh  ko  sahal  samajhne  lageñ
ḳhud  ko  itnā  bhī  aam  mat  karnā
jin  se  rusvā.iyāñ  ho  dāman  meñ
bhuul  kar  bhī  vo  kaam  mat  karnā
zar-parastoñ  se  rāh-o-rasm  ho  par
zehn-o-dil  ko  ġhulām  mat  karnā
jis  meñ  ho  zarf  kī  kamī  'ḳhurshīd'
us  kā  tum  ehtirām  mat  karnā