koī  mehrbāñ  nahīñ  saath  meñ  koī  haat  bhī  nahīñ  haat  meñ
haiñ  udāsiyāñ  mirī  muntazir  sabhī  rāstoñ  meñ  jihāt  meñ
hai  ḳhabar  mujhe  ki  ye  tum  nahīñ  kasī  ajnabī  ko  bhī  kyā  paḌī
sabhī  āshnā  bhī  haiñ  rū-ba-rū  to  ye  kaun  hai  mirī  ghaat  meñ
ye  udāsiyoñ  kā  jo  rañg  hai  koī  ho  na  ho  mire  sañg  hai
mire  sher  meñ  mirī  baat  meñ  mirī  ādatoñ  meñ  sifāt  meñ
kareñ  e'tibār  kisī  pe  kyā  ki  ye  shahr  shahr-e-nifāq  hai
jahāñ  muskurāte  haiñ  lab  kahīñ  vahīñ  tanz  hai  kisī  baat  meñ
chalo  ye  bhī  maanā  ai  ham-navā  ki  taġhayyurāt  ke  mā-sivā
nahīñ  mustaqil  koī  shai  yahāñ  to  ye  hijr  kyuuñ  hai  sabāt  meñ
mirī  dastaras  meñ  bhī  kuchh  nahīñ,  nahīñ  tere  bas  meñ  bhī  kuchh  nahīñ
maiñ  asīr-e-kākul-e-ishq  huuñ  mujhe  kyā  milegā  najāt  meñ