Jahangeer nayab

meri nazar mein uski tab-o-tab aur hai

Jahangeer nayab

Kishanganj, Bihar, India

1985
merī nazar meñ us kī tab-o-tāb aur hai
kahte haiñ jis ko gauhar-e-nāyāb aur hai
sarshār jis se ruuh ho vo giit hai judā
jo taar dil kā chheḌe vo mizrāb aur hai
maqsūd jo mujhe hai ye ta.abīr vo nahīñ
jo dekhtī hai aañkh mirī ḳhvāb aur hai
khulte haiñ jis se logoñ pe asrār-e-be-ḳhudī
merī kitāb-e-zīst kā vo baab aur hai
hai zehn zindagī ke masā.il se muntashir
aur dil kisī ke ishq meñ betāb aur hai
apnī jagah pe donoñ hī ḳhush-rañg haiñ magar
tā.ūs aur chiiz hai surḳhāb aur hai
ye vaar bhī hadaf se kahīñ duur jā girā
tarkash meñ tiir kyā koī 'nāyāb' aur hai
Top Urdushayar.com