adāvatoñ  kā  yuuñ  āġhāz-e-iḳhtitām  kareñ
adū  mile  to  use  ḳhair  se  salām  kareñ
ab  iḳhtiyār-e-tabaddul  bhī  ho  gayā  hāsil
to  ab  gulistāñ  meñ  raa.ij  nayā  nizām  kareñ
hamārī  aapsī  ranjish  hai  chhoḌ  deñ  ham  par
chaleñ  huzūr  chaleñ  aap  apnā  kaam  kareñ
ab  us  ke  sāmne  insāf  kā  tarāzū  hai
unheñ  kaheñ  ki  adālat  kā  ehtirām  kareñ
safar  nasīb  jo  sahrāoñ  ke  musāfir  haiñ
vo  log  shahr  meñ  kis  tarah  ab  qayām  kareñ
vo  jin  buzurgoñ  kā  shafqat  se  haath  ḳhālī  ho
to  un  buzurgoñ  kā  ham  kitnā  ehtirām  kareñ
badal  rahī  haiñ  fazā.eñ  to  ḳhud  ko  bhī  badleñ
kanīzeñ  chhoḌiye  āzād  sab  ġhulām  kareñ
ḳhayāl  rakkheñ  mazīd  aur  koī  dukh  na  mile
ab  ahl-e-dard  ye  jiine  kā  ehtimām  kareñ