ruKHsaar Nazimabadi

sajde mein rahe kyun koi banda mere aage

ruKHsaar Nazimabadi

Karachi, Sindh, Pakistan

1959
sajde meñ rahe kyuuñ koī banda mire aage
jo hai mire pīchhe vahī hotā mire aage
lagtā hai ki chhoḌ aayā huuñ manzil kahīñ pīchhe
chaltā hai musalsal yūñhī rasta mire aage
ham do hī musāfir haiñ ḳhizāoñ ke havā meñ
ik maiñ huuñ aur ik zard vo pattā mire aage
sajde kā maiñ pāband huā huuñ yahāñ aa kar
jhuktā thā vahāñ par to farishta mire aage
maiñ zeb rahā huuñ kabhī yūsuf ke badan par
kyā chiiz bhalā dast-e-zuleḳhā mire aage
ik haath meñ kashkol hai duuje meñ tarāzū
aise meñ bhalā kaun Thahartā mire aage
jiine ko to kuchh aur bhī jī leñ yahāñ lekin
honā hai yahī khel tamāsha mire aage
kuchh aise bhī sajdoñ kā sharaf hai mujhe hāsil
ka.aba jo thā pīchhe vahī ka.aba mire aage
ik ḳhauf thā 'ruḳhsār' ki ġhālib kī zamīñ hai
tham tham ke har ik sher yuuñ utrā mire aage
Top Urdushayar.com