ai  ḳhudā-e-pāk  rabb-e-zul-jalāl
zindagī  ko  maut  ke  Dar  se  nikāl
chhoḌ  ai  nekī-zada  pichhlī  misāl
jazba-e-nekī  bhī  ab  dariyā  meñ  Daal
ik  ajab  sī  kaifiyat  hai  in  dinoñ
na  ḳhushī  hai  aur  na  koī  malāl
zindagī  terā  muqaddar  maut  hai
roz  ham  karte  haiñ  terī  dekh  bhaal
ik  to  ye  dozaḳh  milā  īñdhan  talab
aur  is  par  justujū  rizq-e-halāl
jis  jagah  par  ḳhatm  hoñ  sab  rāste
phir  vahīñ  se  ik  nayā  rasta  nikāl
ye  batā  ravāq  ke  ma.anī  haiñ  kyā
bhuuk  kī  shiddat  ye  kartī  hai  savāl
mere  jaise  shā.iroñ  kī  zindagī
na  to  maazī  hai  na  mustaqbil  na  haal
zindagī  meñ  sab  ke  sab  uljhe  hue
zindagī  hai  bhī  bahut  mushkil  savāl
chhoḌ  de  ab  tīr-o-tarkash  chhoḌ  de
guftugū  se  mas.ale  kā  hal  nikāl