ruKHsaar Nazimabadi

faqat mehnat mashaqqat ka natija kam nikalta hai

ruKHsaar Nazimabadi

Karachi, Sindh, Pakistan

1959
faqat mehnat mashaqqat kā natīja kam nikaltā hai
duā jab maañ kī shāmil ho to phir zamzam nikaltā hai
kahīñ par bhī sambhalne kī ye mohlat hī nahīñ detā
kanār-e-vaqt se har hādsa ik dam nikaltā hai
mohabbat ke safar meñ jab kahīñ par moḌ aa jaa.e
sunā ye hai vahīñ se hijr kā mausam nikaltā hai
safar kā marhala jo ho jahāñ par likh diyā jaa.e
usī manzil pe aa kar zindagī kā dam nikaltā hai
bahut kamzor hotā hai kahīñ par ḳhuun kā rishta
kahīñ ik kāġhzī rishta hī mustahkam nikaltā hai
ye kaisī vādī-e-ġhurbat se vābasta hue ham log
jahāñ sardī meñ sūraj bhī bahut kam-kam nikaltā hai
Top Urdushayar.com