ab  hāthoñ  meñ  pyaar  hai  sāhab
aur  dil  meñ  talvār  hai  sāhab
ulTī  ulTī  rasmeñ  le  kar
ye  ulTā  sansār  hai  sāhab
majbūrī  kī  zanjīreñ  haiñ
ishrat  kā  bāzār  hai  sāhab
sab  dariyā  meñ  Duub  rahe  haiñ
sab  kī  nayyā  paar  hai  sāhab
bhūke  bachche  jaag  rahe  haiñ
maañ  ghar  meñ  bīmār  hai  sāhab
ham  sab  hī  daryūza-gar  haiñ
roTī  kā  bevpār  hai  sāhab
darvāze  par  aas  lagī  hai
saat  samundar  paar  he  sāhab
manzil  manzil  DhūñD  rahā  huuñ
kis  jānib  'ruḳhsār'  hai  sāhab