añdherī  shab  diyā  jugnū  qamar  na.iiñ
safar  meñ  ab  koī  bhī  ham-safar  na.iiñ
ham  aise  band  kamroñ  ke  makīñ  haiñ
jahāñ  taaza  havāoñ  kā  guzar  na.iiñ
ḳhushāmad  chāplūsī  jhuuT  ġhībat
hamāre  paas  to  koī  hunar  na.iiñ
jo  ġhurbat  ke  añdheroñ  meñ  pale  haiñ
na.ī  tahzīb  kā  un  par  asar  na.iiñ
ajab  mausam  milā  hai  zindagī  ko
na.ī  rut  hai  daraḳhtoñ  par  samar  na.iiñ
sabab  apnī  hazīmat  ke  ka.ī  the
bas  ik  tanhā  bahādur-shah-zafar  na.iiñ
ye  kis  jānib  safar  tum  kar  rahe  ho
ab  āñkhoñ  meñ  umīdoñ  kā  nagar  na.iiñ
guzarne  kā  udhar  se  lutf  hī  kyā
jidhar  maujeñ  talātum  aur  bhañvar  na.iiñ
us  aane  vaale  kal  kā  kyā  bharosa
jin  agle  chand  lamhoñ  kī  ḳhabar  na.iiñ
koī  ik  raat  hī  meñ  ḳhatm  kar  le
maiñ  qissa  is  qadar  bhī  muḳhtasar  na.iiñ
jise  'ruḳhsār'  ab  maiñ  sah  rahā  huuñ
musalsal  ik  aziyyat  hai  safar  na.iiñ