ruKHsaar Nazimabadi

log jo sahab-e-kirdar hua karte the

ruKHsaar Nazimabadi

Karachi, Sindh, Pakistan

1959
log jo sāhab-e-kirdār huā karte the
bas vahī qābil-e-dastār huā karte the
ye alag baat vo thā daur-e-jahālat lekin
log an-paḌh bhī samajhdār huā karte the
sāmne aa ke nibhāte the adāvat apnī
piiTh pīchhe se kahāñ vaar huā karte the
jin qabīloñ meñ yahāñ aaj diye haiñ raushan
un qabīloñ ke to sardār huā karte the
tab adālat se ri.āyat nahīñ mil paatī thiiñ
tab gunahgār gunahgār huā karte the
kyā zamāna thā mahaktī thiiñ vo kyārī ghar kī
ghar ke āñgan gul-o-gulzār huā karte the
qaid maz.hab kī na thī kal ke paḌosī donoñ
ek duuje ke madad-gār huā karte the
ghar ke sab log nibhāte the ḳhushī se jin ko
ghar ke har fard ke kirdār huā karte the
Top Urdushayar.com