ye  zindagī  na.e  manzar  dikhā  rahī  hai  mujhe
ḳhizāñ  hai  āḳhirī  mausam  batā  rahī  hai  mujhe
hañsā  rahī  hai  kabhī  ye  rulā  rahī  hai  mujhe
ġhazal  mirī  hī  kahānī  sunā  rahī  hai  mujhe
vo  ek  shai  jo  ki  siine  meñ  hai  kahīñ  maujūd
kisī  ke  hukm  pe  pal  pal  chalā  rahī  hai  mujhe
ye  ittifāq  nahīñ  haiñ  koī  duā  hai  jo
yuuñ  hādsoñ  se  musalsal  bachā  rahī  hai  mujhe
tū  buzdilī  na  samajh  ye  hī  to  sharāfat  hai
mire  lahū  kī  nafāsat  jhukā  rahī  hai  mujhe
jo  ek  lahr  bhañvar  ke  thī  aas  paas  kahīñ
vo  dhīre  dhīre  kināre  lagā  rahī  hai  mujhe
baġhair  us  ke  thī  mumkin  kahāñ  rihā.ī  mirī
ye  maut  aa  ke  balā  se  chhuḌā  rahī  hai  mujhe
na.e  libās  meñ  lipTā  huā  huuñ  aur  ye  zamīñ
mire  vajūd  kī  qīmat  batā  rahī  hai  mujhe
ye  tez  dhuup  ye  sahrāoñ  kā  safar  'ruḳhsār'
yahī  tapish  hai  jo  kundan  banā  rahī  hai  mujhe