ghar  nahīñ  bastī  nahīñ  shor-e-fuġhāñ  chāroñ  taraf  hai
ek  chauthā.ī  zamīñ  par  āsmāñ  chāroñ  taraf  hai
dauḌte  haiñ  rāt-din  tiin  aañkh  bārah  haath  vaale
sard  sannāTe  meñ  āvāz-e-sagāñ  chāroñ  taraf  hai
launcher  rocket  Clashnikof  bārūdī  surañgeñ
ḳhuun  kā  dariyā  pahāḌoñ  meñ  ravāñ  chāroñ  taraf  hai
jism  hai  to  sar  nahīñ  sar  hai  to  dast-o-pā  nahīñ
arz-e-pur-asrār  meñ  hū  kā  samāñ  chāroñ  taraf  hai
surma.ī  kohsār  kī  choTī  pe  barfānī  parinda
bas  ki  gul  kī  chaah  meñ  gasht-e-ḳhizāñ  chāroñ  taraf  hai
ishāre  se  alāmat  tak  zabāñ  ḳhāmosh  merī
kal  'zubair'  apnā  thā  aaj  us  kā  ziyāñ  chāroñ  taraf  hai