Zubair Shifai

qamar-gazida nazar se haala kahan se aaya

Zubair Shifai

qamar-gazīda nazar se haala kahāñ se aayā
charāġh bujhne ke ba.ad ujālā kahāñ se aayā
nadī meñ vo aur chāñd haiñ ek saath raushan
zamīñ par āsmān vaalā kahāñ se aayā
ye ġhuncha ġhuncha siyāh bhañvre kī bosa-ḳhvāhī
savād-e-gulshan meñ ham-nivāla kahāñ se aayā
fazā kī ālūdgī thī pahle hī niim qātil
ye dil meñ ek aur daaġh kaalā kahāñ se aayā
qarīb-tar dostoñ se hone kī aarzū meñ
abhī abhī pusht par ye bhālā kahāñ se aayā
maiñ ḳhvāb meñ bhī tirī galī se nahīñ guzartā
ye donoñ talvoñ meñ surḳh chhālā kahāñ se aayā
kahāñ gayā sikka sikka qārūn kā ḳhazāna
'zubair' hāthoñ meñ ye piyāla kahāñ se aayā
Top Urdushayar.com