qamar-gazīda  nazar  se  haala  kahāñ  se  aayā
charāġh  bujhne  ke  ba.ad  ujālā  kahāñ  se  aayā
nadī  meñ  vo  aur  chāñd  haiñ  ek  saath  raushan
zamīñ  par  āsmān  vaalā  kahāñ  se  aayā
ye  ġhuncha  ġhuncha  siyāh  bhañvre  kī  bosa-ḳhvāhī
savād-e-gulshan  meñ  ham-nivāla  kahāñ  se  aayā
fazā  kī  ālūdgī  thī  pahle  hī  niim  qātil
ye  dil  meñ  ek  aur  daaġh  kaalā  kahāñ  se  aayā
qarīb-tar  dostoñ  se  hone  kī  aarzū  meñ
abhī  abhī  pusht  par  ye  bhālā  kahāñ  se  aayā
maiñ  ḳhvāb  meñ  bhī  tirī  galī  se  nahīñ  guzartā
ye  donoñ  talvoñ  meñ  surḳh  chhālā  kahāñ  se  aayā
kahāñ  gayā  sikka  sikka  qārūn  kā  ḳhazāna
'zubair'  hāthoñ  meñ  ye  piyāla  kahāñ  se  aayā