Zubair Shifai

uTha kar barq-o-baran se nazar manjdhaar par rakhna

Zubair Shifai

uThā kar barq-o-bārāñ se nazar mañjdhār par rakhnā

hamesha ke liye ye haath ab patvār par rakhnā

visālī mausamoñ bāzyābī chāhne vaalo

bajā.e shāḳh-e-gul dast-e-talab ruḳhsār par rakhnā

sar-e-taḳhlīq tan kab iḳhtirā.ī dhun nikal aa.e

zarā ye hoñT tum barbat ke TuuTe taar par rakhnā

vabāl-e-dosh thā ye tum kisī kone pe likh denā

numā.ish ke liye jab sar sutūn-e-dār par rakhnā

baqā-e-nau-e-insānī ḳhātir chāhtā huuñ maiñ

ab apne aap ko bārūd ke ambār par rakhnā

vo kirnoñ se bharī do-pahriyāñ ab yaad aatī haiñ

fatāda barg uThānā saaya ik ashjār par rakhnā

'zubair' aqvām-e-ālam meñ bhī ho tash.hīr vahshat

garebānoñ ke ye TukḌe ḳhat-e-āsār par rakhnā

Top Urdushayar.com