maiñ  karb-e-but-tarāshī-e-āzar  meñ  qaid  thā
sho.ale  kā  kyā  qusūr  jo  patthar  meñ  qaid  thā
jis  kī  tahoñ  meñ  ḳhud  hī  machaltī  haiñ  āñdhiyāñ
maiñ  ḳhvāhishoñ  ke  aise  samundar  meñ  qaid  thā
pheñke  hai  mujh  ko  duur  ye  gardish  hai  kitnī  tez
kin  mushkiloñ  se  zaat  ke  mehvar  meñ  qaid  thā
aate  haiñ  saare  rāste  muḌ  kar  yahīñ  'shakīl'
zindāñ  mirā  yahī  thā  isī  ghar  meñ  qaid  thā
jis  kā  tarīq-e-jañg  hī  shab-ḳhūñ  rahā  'shakīl'
maiñ  aise  hādsāt  ke  lashkar  meñ  qaid  thā