us  se  bhī  aisī  ḳhatā  ho  ye  zarūrī  to  nahīñ
vo  bhī  majbūr-e-vafā  ho  ye  zarūrī  to  nahīñ
log  chehre  pe  ka.ī  chehre  chaḌhā  lete  haiñ
vo  bhī  khul  kar  hī  milā  ho  ye  zarūrī  to  nahīñ
ab  ke  jab  us  se  milo  haath  dabā  kar  dekho
ab  bhī  vo  tum  se  ḳhafā  ho  ye  zarūrī  to  nahīñ
justujū  kis  kī  hai  ye  dasht-e-fanā  ke  is  paar
vo  koī  aur  rahā  ho  ye  zarūrī  to  nahīñ
daar  pe  khīñche  ga.e  kitne  zamāne  meñ  'shakīl'
har  koī  iisā  rahā  ho  ye  zarūrī  to  nahīñ