kis  ko  ḳhabar  ye  hastī  kyā  hai  kitnī  haqīqat  kitnā  ḳhvāb
dasht-e-fanā  meñ  hairāñ  haiñ  sab  le  kar  apnā  apnā  ḳhvāb
lipTī  huī  thī  ham  se  kaisī  ḳhushbū  us  kī  yādoñ  kī
aañkh  khulī  tab  jaanā  ham  ne  dekhā  thā  ik  pyārā  ḳhvāb
us  ke  tasavvur  meñ  qurbat  ke  dhoke  kitne  khaa.e  haiñ
paas  jo  aa.e  aisā  lage  hai  aadhī  haqīqat  puurā  ḳhvāb
kho  kar  us  ko  yuuñ  lagtā  hai  jaise  sab  kuchh  haar  ga.e
ashkoñ  se  ham  joḌ  rahe  haiñ  apnā  bikhrā  bikhrā  ḳhvāb
dukh  to  yahī  hai  in  bātoñ  se  tum  kitne  anjān  rahe
dil  meñ  basā  kar  tum  ko  ham  ne  dekhā  kaisā  kaisā  ḳhvāb
dekh  ke  is  ko  jaane  aisī  'sayyad'  jī  kyā  baat  huī
āñkhoñ  kī  dahlīz  pe  ham  ne  pyaar  bharā  ik  rakkhā  ḳhvāb