ḳhayāl-o-ḳhvāb  kī  ab  rahguzar  meñ  rahtā  hai
ajiib  shaḳhs  hai  aksar  safar  meñ  rahtā  hai
kisī  kā  dekhnā  muḌ  kar  vo  chashm-e-tar  se  mujhe
hamesha  ab  vahī  manzar  nazar  meñ  rahtā  hai
tamām  rāste  muḌ  kar  yahīñ  pahuñchte  haiñ
vo  is  ḳhayāl  se  ab  apne  ghar  meñ  rahtā  hai
masarratoñ  ke  kināre  to  Duub  jaate  haiñ
safīna  dil  kā  ġhamoñ  ke  bhañvar  meñ  rahtā  hai
kahāñ  hai  kaise  batā.eñ  yahī  samajh  liije
'shakīl'  ab  to  kisī  chashm-e-tar  meñ  rahtā  hai