reza  reza  jaise  koī  TuuT  gayā  hai  mere  andar
kaun  hai  'sayyad'  karb  jo  itne  jhel  rahā  hai  mere  andar
ujḌī  ujḌī  ḳhvāb  kī  bastī  sahrā  sahrā  āñkheñ  merī
jaane  ye  tūfān  kahāñ  se  aaj  uThā  hai  mere  andar
ḳhāmoshī  se  jhel  rahī  hai  garmī  sardī  har  mausam  kī
majbūrī  kī  chādar  oḌhe  ek  anā  hai  mere  andar
aaj  na  jaane  kyuuñ  lagtā  hai  dil  kā  mausam  nikhrā  nikhrā
fasl-e-junūñ  kā  mehmāñ  ban  kar  kaun  rukā  hai  mere  andar
zulf  ke  saa.e  ḳhvāb  kī  manzil  raas  use  kyā  aa.egī  ab
sahrā  sahrā  ḳhaak  jo  kab  se  chhān  rahā  hai  mere  andar
aaj  bhī  jaane  kyuuñ  lagtā  hai  itnā  hī  anjān  sā  kuchh  vo
jis  ne  saare  dukh-sukh  bāñTe  saath  rahā  hai  mere  andar
kab  se  khaḌā  maiñ  soch  rahā  huuñ  īmāñ  ke  dorāhe  par  ye
ek  to  vo  jo  sab  kā  ḳhudā  hai  ek  ḳhudā  hai  mere  andar