tujh  se  TuuTā  rabt  to  phir  aur  kyā  rah  jā.egā
intishār-e-zāt  kā  ik  silsila  rah  jā.egā
qurbateñ  miT  jā.eñgī  aur  fāsla  rah  jā.egā
chand  yādoñ  ke  sivā  bas  aur  kyā  rah  jā.egā
ye  taġhāful  ek  din  ik  sāneha  ban  jā.egā
aks  to  kho  jā.egā  aur  aa.ina  rah  jā.egā
vaqt  meñ  lamha  sā  maiñ  tahlīl  hotā  jā.ūñgā
ḳhālī  āñkhoñ  se  ye  manzar  dekhtā  rah  jā.egā
ek  shā.ir  ik  hasīñ  se  sher  kī  ḳhātir  miTā
vaqt  kī  tahvīl  meñ  ye  vāqi.a  rah  jā.egā
sard-mehrī  ke  kohar  meñ  us  kā  chehra  kyā  mile
in  dhuñdlakoñ  meñ  use  tū  DhūñDhtā  rah  jā.egā
ek  saaya  narm-o-nāzuk  chhoḌ  kar  jo  chal  diyā
sar  pe  sūraj  ik  musāfir  rāsta  rah  jā.egā