Khawar Rizvi

piya jo zahr-e-gham-e-zist angbin ki tarah

Khawar Rizvi

piyā jo zahr-e-ġham-e-zīst añgbīñ kī tarah
nikhar gayā huuñ kisī rū-e-āsmāñ kī tarah
mire vajūd ke sahrā-e-shab-zada pe ye kaun
kiran bikhertā rahtā hai mah-jabīñ kī tarah
maiñ apnī zaat meñ mahbūs ho ke baiTh rahā
bikhartā kaash tirī zulf-e-ambarīñ kī tarah
huī hai ḳhaak se merī numūd meñ bhī yahāñ
asīr-e-gardish-e-hālāt huuñ zamīñ kī tarah
maiñ apne zāhir-o-bātin meñ ek jaisā huuñ
farāḳh dil bhī hai merā mirī jabīñ kī tarah
maiñ ġham kī aag meñ ḳhāvar na jal ke raakh huā
vagarna maiñ bhī chamaktā kisī nagīñ kī tarah
Top Urdushayar.com