Khawar Rizvi

baDhenge aur bhi yun silsile hijabon ke

Khawar Rizvi

baḌheñge aur bhī yuuñ silsile hijāboñ ke

kar apnī baat havāle na de kitāboñ ke

maiñ shahr-e-gul musāfir mare sharīk-e-safar

sa.ūbatoñ ye rāteñ ye din azāboñ ke

tirī nazar se ibārat the tere saath ga.e

vo phuul mere ḳhayāloñ ke rañg ḳhvāboñ ke

tamām umr phir ik karb chitā meñ jale

ham ek pal jo ruke shahar meñ gulāboñ ke

haTāyā rañg paudā to zaḳhm zaḳhm thā phuul

chaman chaman the vahī silsile sarāboñ ke

abhī vo habs hai 'ḳhāvar' ki dam ulajhtā hai

abhī khule rakho darvāze apne ḳhvāboñ ke

Top Urdushayar.com