kabhī  uḌo  to  sahī  tum  uḌaan  se  uupar
fazā.eñ  aur  bhī  haiñ  āsmān  se  uupar
mirā  safīna  ajab  kashmakash  meñ  tairtā  thā
havā  sukūt  meñ  thī  bādbān  se  uupar
kisī  ne  sach  na  kahā  aur  sab  ne  sach  jaanā
ajab  kamāl-e-bayāñ  thā  bayān  se  uupar
mire  harīf  ke  sab  tiir  be-ḳhatā  to  na  the
magar  vo  dast-e-amāñ  thā  kamān  se  uupar
kisī  ne  aaj  hī  paanī  meñ  paañv  Daalā  hai
chalā  hai  aaj  hī  dariyā  nishān  se  uupar
mirā  qabīla  tah-e-āsmāñ  hai  be-ḳhemā
yaqīñ  kī  had  hai  magar  har  gumān  se  uupar
agar  ye  qāfila  merā  nahīñ  to  phir  'at.har'
hai  kis  alaav  kā  partav  chaTān  se  uupar