sar-e-shāḳh-e-talab  zanjīr  niklī
ye  kis  ke  ḳhvāb  kī  ta.abīr  niklī
zamīñ  par  be-zamīnī  kī  kasak  hai
ye  mere  naam  kī  jāgīr  niklī
irādoñ  se  nikal  aa.e  irāde
mire  andar  ajab  ta.amīr  niklī
darīchoñ  par  darīche  khul  rahe  haiñ
har  ik  tasvīr  meñ  tasvīr  niklī
safar  meñ  phir  safar  ke  ḳhvāb  aa.eñ
yahī  har  ḳhvāb  kī  ta.abīr  niklī
sar-afrāzī  kā  manzar  dekhtā  thā
barahna-sar  har  ik  tauqīr  niklī