shāmil-e-kārvāñ  to  ham  bhī  haiñ
terī  jānib  ravāñ  to  ham  bhī  hai
ye  haqīqat  nahīñ  to  phir  kyā  hai
ya.anī  vahm-o-gumāñ  to  ham  bhī  haiñ
bār-e-hijrat  saroñ  pe  hai  apne
itne  be-ḳhānumāñ  to  ham  bhī  haiñ
kah  rahe  haiñ  ḳhizāñ  zada  chehre
ai  bahāro  yahāñ  to  ham  bhī  haiñ
sach  na  maano  to  jhuuT  hī  kah  lo
ik  ruḳh-e-dāstāñ  to  ham  bhī  haiñ
ham  ko  ḳhāk-e-rah-e-safar  mat  jaan
ai  zamīñ  āsmāñ  to  ham  bhī  haiñ
sirf  ma.anī  kī  vus.ateñ  hī  nahīñ
lafz  ke  darmiyāñ  to  ham  bhī  haiñ