giraft-e-sāya-e-dīvār  se  nikal  aayā
maiñ  ek  umr  ke  āzār  se  nikal  aayā
na  jānñā  bhī  to  ik  jānñe  kī  sūrat  hai
ajiib  ruḳh  mire  inkār  se  nikal  aayā
maiñ  apnī  qīmat-e-ehsās  ke  javāz  meñ  thā
so  ye  huā  ki  maiñ  bāzār  se  nikal  aayā
abhī  ruke  bhī  na  the  ham  paḌāv  kī  ḳhātir
nayā  safar  na.ī  raftār  se  nikal  aayā
samajh  rahe  the  kahīñ  dafn  ho  gayā  hogā
vo  ḳhauf  phir  dar-o-dīvār  se  nikal  aayā
maiñ  chup  huā  to  use  bolnā  hī  thā  ik  din
vo  zinda  harf  lab-e-dār  se  nikal  aayā
kisī  ḳhayāl  se  kyā  kyā  ḳhayāl  jaag  uThe
ye  shaġhl  lamha-e-bekār  se  nikal  aayā