tire  karam  kā  mire  dasht  pe  jo  saayā  huā
mujhe  lagā  hī  nahīñ  maiñ  bhī  huuñ  satāyā  huā
vo  tajrabāt  kī  had  se  nikal  gayā  aage
vo  ek  shaḳhs  ki  thā  merā  āzmāyā  huā
kisī  ke  dast-e-hinā.ī  kā  lams  raushan  thā
koī  charāġh  na  thā  haath  meñ  chhupāyā  huā
hamārā  naam  nahīñ  hai  hamārā  zikr  nahīñ
magar  yahāñ  se  koī  lafz  hai  miTāyā  huā
maiñ  kaise  us  se  alag  ho  ke  dekh  saktā  huuñ
kisī  kā  rañg  rag-o-pai  meñ  hai  samāyā  huā
vo  āfiyat  hai  jahāñ  jī  rahe  haiñ  barsoñ  se
isī  galī  meñ  hai  paudā  mirā  lagāyā  huā
havā  chalī  to  safar  sahl  ho  gayā  'at.har'
safīna  thā  kisī  tūfāñ  se  Dagmagāyā  huā