jo  mujh  pe  qarz  hai  is  ko  utaar  jā.ūñ  maiñ
ye  aur  baat  hai  jiito  ki  haar  jā.ūñ  maiñ
kabhī  maiñ  ḳhvāb  meñ  dekhūñ  harī  bharī  fasleñ
kabhī  ḳhayāl  ke  dariyā  ke  paar  jā.ūñ  maiñ
ik  aur  ma.arka-e-jabr-o-iḳhtiryār  sahī
ik  aur  lamha-e-tāza  guzār  jā.ūñ  maiñ
bikhar  ga.e  haiñ  jo  lamhe  sameT  luuñ  un  ko
bigaḌ  ga.e  haiñ  jo  naqshe  sañvār  jā.ūñ  maiñ
kabhī  to  apnī  talab  meñ  bhī  is  tarah  niklūñ
ḳhud  apne-āp  se  begāna-vār  jā.ūñ  maiñ
lahū  kā  rañg  ki  ātish  kā  rañg  kuchh  to  ho
jo  naqsh  dab  se  ga.e  haiñ  ubhār  jā.ūñ  maiñ
mohabbatoñ  ko  na  lag  jaa.e  nafratoñ  kī  nazar
ḳhudā  kare  ki  har  ik  dukh  sahār  jā.ūñ  maiñ
phir  apnā  aks  maiñ  apnī  hī  zaat  meñ  dekhūñ
jo  ho  sake  to  har  ik  dukh  ke  paar  jā.ūñ  maiñ
kisī  ke  rañg  meñ  ḳhud  ko  maiñ  rañg  luuñ  'at.har'
javāb  aa.e  na  aa.e  pukār  jā.ūñ  maiñ