is  hujūm-e-be-amāñ  meñ  koī  apnā  bhī  to  ho
maiñ  gale  kis  ko  lagā.ūñ  koī  zinda  bhī  to  ho
barg-e-āvāra  havā  nā-āshnā  be-mehr  phuul
aate  jaate  mausamoñ  meñ  koī  Thahrā  bhī  to  ho
sab  gharoñ  meñ  lazzat-e-āsūdgī  hai  ḳhema-zan
maiñ  sadā  kyā  duuñ  yahāñ  par  koī  suntā  bhī  to  ho
phir  se  shāḳh-e-dār  par  khilne  lageñ  laale  ke  phuul
phir  se  duniyā  jaag  uTThe  koī  aisā  bhī  to  ho
TuuT  jaatā  aap  hī  be-dard  sannāTe  kā  zor
ḳhauf  se  bāhar  nikal  kar  koī  bolā  bhī  to  ho
maiñ  ne  us  ko  dil-navāz-o-ḳhush-adā  kyā  kyā  kahā
merī  is  zinda-dilī  ko  koī  samjhā  bhī  to  ho
maiñ  bhī  kah  detā  ye  mere  ḳhvāb  kī  ta.abīr  hai
terī  ta.abīroñ  meñ  merā  ḳhvāb  bolā  bhī  to  ho