jalvoñ  kā  jo  tere  koī  pyāsā  nazar  aayā
vo  zaat  meñ  apnī  hameñ  dariyā  nazar  aayā
zad  par  jo  nigāhoñ  kī  vo  chehrā  nazar  aayā
kuchh  rañg-e-hayā  aur  nikhartā  nazar  aayā
ye  husn-e-taġhazzul  kā  karishma  nazar  aayā
vo  jān-e-ġhazal  sher  sarāpā  nazar  aayā
ik  silsila-e-lā-mutanāhī  thā  ġham-e-ishq
armān  se  armān  nikaltā  nazar  aayā
rashk-e-mah-o-ḳhurshīd  vo  miTTī  kā  diyā  thā
jo  ruḳh  pe  havāoñ  ke  bhī  jaltā  nazar  aayā
maiñ  ne  to  kabhī  aap  ko  tanhā  nahīñ  dekhā
maiñ  aap  ko  mahfil  meñ  bhī  tanhā  nazar  aayā
dil  merā  bhar  aayā  ba-ġham-e-tark-e-mohabbat
ḳhālī  thā  magar  jaam  chhalaktā  nazar  aayā
parde  pe  jamī  rah  ga.iiñ  ḳhāmosh  nigāheñ
yuuñ  bhī  pas-e-parda  tirā  chehrā  nazar  aayā
mujh  par  to  jamī  thiiñ  tirī  mahfil  kī  nigāheñ
maiñ  vo  thā  ki  mahfil  meñ  bhī  tanhā  nazar  aayā
saaqī  ne  mujhe  ḳhaas  nigāhoñ  se  jo  dekhā
sho.ala  sā  mire  jaam  se  uThtā  nazar  aayā
ik  dushman-e-īmāñ  se  ho  ummīd-e-vafā  kyā
kab  dasht  meñ  dīvār  kā  saayā  nazar  aayā
ḳhush-rañg  huā  aur  tirī  yaad  kā  manzar
palkoñ  pe  agar  koī  sitārā  nazar  aayā
suulī  pe  chaḌhā  koī  koī  tuur  pe  pahuñchā
'aḳhgar'  tire  kūche  se  guzartā  nazar  aayā