shikasta  dil  kisī  kā  ho  ham  apnā  dil  samajhte  haiñ
tire  ġham  meñ  zamāne  bhar  ke  ġham  shāmil  samajhte  haiñ
huī  haiñ  is  qadar  āsāniyoñ  se  mushkileñ  paidā
har  āsānī  ko  ham  apnī  jagah  mushkil  samajhte  haiñ
vo  ḳhud  dekhe  magar  us  ko  koī  na  dekhne  paa.e
tirā  andāz  ham  ai  parda-e-hā.il  samajhte  haiñ
kisī  kā  haath  zaḳhmoñ  par  kisī  kā  haath  gardan  meñ
masīhā  kaun  hai  aur  kaun  hai  qātil  samajhte  haiñ
had-e-dil  se  to  bāhar  dard  terā  ho  nahīñ  saktā
jahāñ  tak  dard  hai  terā  vahāñ  tak  dil  samajhte  haiñ
majāl-e-dīd  kī  mohlat  na  deñ  lekin  ye  kyā  kam  hai
vo  ham  ko  apnī  bazm-e-nāz  ke  qābil  samajhte  haiñ
ta.ayyun  husn-e-maqsad  kā  nahīñ  is  ke  sivā  koī
Thahar  jaa.eñ  jahāñ  ham  bas  use  manzil  samajhte  haiñ
kahāñ  tak  ham  musalsal  ruḳh  badalte  jaa.eñ  kashtī  kā
vahī  tūfāñ  nikaltā  hai  jise  sāhil  samajhte  haiñ
unheñ  fursat  kahāñ  ye  bhī  ġhanīmat  jāniye  'aḳhgar'
ki  vo  dil  ko  kisī  ta.azīr  ke  qābil  samajhte  haiñ