azm-e-safar  se  pahle  bhī  aur  ḳhatm-e-safar  se  aage  bhī
rāhguzar  hī  rāhguzar  hai  rāhguzar  se  aage  bhī
tāb-e-nazar  to  shart  hai  lekin  hadd-e-nazar  kyuuñ  haa.il  hai
jalva-fagan  to  jalva-fagan  hai  hadd-e-nazar  se  aage  bhī
sub.h-e-azal  se  shām-e-abad  tak  mere  hī  dam  se  raunaq  hai
is  manzar  se  us  manzar  tak  us  manzar  se  aage  bhī
vahm-o-gumāñ  se  ilm-o-yaqīñ  tak  saikḌoñ  nāzuk  moḌ  aa.e
rū-e-zamīñ  se  shams-o-qamar  tak  shams-o-qamar  se  aage  bhī
dil  se  duā  nikle  to  yaqīnan  bāb-e-asar  tak  pahuñchegī
aah  jo  nikle  dil  se  to  pahuñche  bāb-e-asar  se  aage  bhī
dīda-e-tar  kā  ab  to  'aḳhgar'  ek  hī  aalam  rahtā  hai
nāla-e-shab  se  āh-e-sahar  tak  āh-e-sahar  se  aage  bhī