yādoñ  kā  shahr-e-dil  meñ  charāġhāñ  nahīñ  rahā
kyā  koī  ġham  hī  sho.ala-ba-dāmāñ  nahīñ  rahā
ab  e'tirāf-e-ahd-e-vafā  kar  rahe  haiñ  vo
jab  e.atibār-e-umr-e-gurezāñ  nahīñ  rahā
nikle  kuchh  aur  ābla-pā.ī  kī  ab  sabīl
sahrā  meñ  koī  ḳhār-e-muġhīlāñ  nahīñ  rahā
baḳhiya-garī-e-dil  ke  tasavvur  meñ  gum  hue
goyā  ḳhayāl-e-jumbish-e-mizhgāñ  nahīñ  rahā
ye  soch  kar  ki  ḳhūgar-e-ġham  ho  na  jā.ūñ  maiñ
vo  sargirāñ  huā  sitam  arzāñ  nahīñ  rahā
āzār-e-hijr  apnī  jagah  mustaqil  magar
dil  mujh  se  tere  qurb  kā  ḳhvāhāñ  nahīñ  rahā
yād-e-ḳhudā  hī  ka.aba-e-dil  meñ  basā.iye
ab  ek  but  bhī  dushman-e-īmāñ  nahīñ  rahā
imkān-e-vasl-e-yār  to  'aḳhgar'  kabhī  na  thā
āzār-e-hijr-e-yār  kā  armāñ  nahīñ  rahā