vo  mujhe  soz-e-tamannā  kī  tapish  samjhā  gayā
mom  kā  paikar  samajh  kar  dhuup  meñ  Thahrā  gayā
us  kī  bazm-e-gul  haiñ  apne  ḳhāna-e-vīrāñ  kī  samt
maiñ  misāl-e-abr  aayā  sūrat-e-sahrā  gayā
thā  amīr-e-shahr  gar  apnī  jagah  bar-haq  to  phir
ā.īna  jab  sāmne  aayā  to  kyuuñ  ghabrā  gayā
ab  koī  saffāk  duniyā  ke  ġhamoñ  kā  ġham  nahīñ
ham  ko  terā  ġham  samajhne  kā  salīqa  aa  gayā
kis  se  dekhā  jā.egā  us  kā  jamāl-e-nau-ba-nau
ek  jalva  hī  nigāh-e-shauq  ko  pathrā  gayā
bāzī-e-dil  ham  ne  yuuñ  khelī  bisāt  dahr  par
shah  pe  shah  paḌtī  rahī  har  shah  pe  ik  mohara  gayā
chaḌhte  sūraj  ke  pujārī  kal  ke  sūraj  ko  na  bhuul
vo  bhī  sūraj  thā  yuuñ  hī  niklā  chaḌhā  utrā  gayā
ab  na  vo  mushtāq  nazreñ  haiñ  na  vo  betāb  dil
be-mahābā  aa.e  sāñsoñ  kā  vo  pahrā  gayā
kuchh  ajab  thā  terī  bazm-e-nāz  meñ  'aḳhgar'  kā  haal
aaj  us  ko  der  tak  kuchh  sochtā  dekhā  gayā