Haneef akhgar

is tarah ahd-e-tamanna ko guzare jaiye

Haneef akhgar

Malihabad, Uttar pradesh, India

1928-2009
is tarah ahd-e-tamannā ko guzāre jā.iye
un ko ḳhāmoshī ke lahje meñ pukāre jā.iye
ishq kā mansab nahīñ āvāza-e-lafz-o-bayāñ
āñkhoñ hī āñkhoñ meñ har ik shikva guzāre jā.iye
dekhiye rusvā na ho jaa.e kahīñ rasm-e-junūñ
apne dīvāne ko ik patthar to maare jā.iye
aa.ine pe jo guzarnā ho guzar jaa.e magar
aap yūñhī zulf-e-barham ko sañvāre jā.iye
jazba-e-dil kā taqāzā hai ki baazī jiit luuñ
ehtiyāt-e-ishq kahtī hai ki haare jā.iye
ho sake to dil kī hālat ḳhud hī aa kar dekhiye
ġhair kī suniye na kahne par hamāre jā.iye
kuchh to lutf-e-lams-e-āġhosh-e-talātum chāhiye
tā-kujā 'aḳhgar' kināre hī kināre jā.iye
Top Urdushayar.com