Haneef akhgar

KHalwat-e-jaan mein tera dard basana chahe

Haneef akhgar

Malihabad, Uttar pradesh, India

1928-2009
ḳhalvat-e-jāñ meñ tirā dard basānā chāhe
dil samundar meñ bhī dīvār uThānā chāhe
parda-dārī ye mohabbat ko nibhānā chāhe
dil meñ chhup kar vo kahāñ sāmne aanā chāhe
us ke dāman pe bikhar jaa.e sitāroñ kī tarah
ḳhāmushī haal agar apnā sunā chāhe
us se kyā koī kare aag bujhāne kā savāl
vo to jazbāt meñ bas aag lagānā chāhe
husn barham ki manāne ko hai sadiyāñ darkār
roz ik tark-e-ta.alluq kā bahāna chāhe
ishq ko farsh bhī kāñToñ kā gavārā hai magar
husn har haal meñ ek ā.īna-ḳhāna chāhe
ban gayā merī mohabbat kā harīf ai 'aḳhgar'
maiñ jise chāhūñ usī ko ye zamāna chāhe
Top Urdushayar.com