ḳhalvat-e-jāñ  meñ  tirā  dard  basānā  chāhe
dil  samundar  meñ  bhī  dīvār  uThānā  chāhe
parda-dārī  ye  mohabbat  ko  nibhānā  chāhe
dil  meñ  chhup  kar  vo  kahāñ  sāmne  aanā  chāhe
us  ke  dāman  pe  bikhar  jaa.e  sitāroñ  kī  tarah
ḳhāmushī  haal  agar  apnā  sunā  chāhe
us  se  kyā  koī  kare  aag  bujhāne  kā  savāl
vo  to  jazbāt  meñ  bas  aag  lagānā  chāhe
husn  barham  ki  manāne  ko  hai  sadiyāñ  darkār
roz  ik  tark-e-ta.alluq  kā  bahāna  chāhe
ishq  ko  farsh  bhī  kāñToñ  kā  gavārā  hai  magar
husn  har  haal  meñ  ek  ā.īna-ḳhāna  chāhe
ban  gayā  merī  mohabbat  kā  harīf  ai  'aḳhgar'
maiñ  jise  chāhūñ  usī  ko  ye  zamāna  chāhe