kahīñ  to  hogī  mulāqāt  ai  chaman-ārā
ki  maiñ  bhī  huuñ  tirī  ḳhushbū  kī  tarah  āvārā
hazār  aib  kamā.e  haiñ  ek  ḳhūbī  se
jo  ab  ho  maiñ  so  huuñ  apne  mizāj  kā  maarā
huā  na  tiis  bahāroñ  meñ  ek  baar  hameñ
ye  ishtiyāq  ki  aa.e  bahār  dobārā
baġhair  markaz-e-ummīd-o-be-sukūn-e-darūñ
maiñ  ik  ḳhalā  huuñ  jo  sābit  bane  na  sayyārā
hai  ek  shahr  meñ  aur  muddatoñ  nahīñ  miltā
vo  shaḳhs  jis  ko  rakhā  ham  ne  jaan  se  pyārā