Jameeluddin Aali

nahin ki humne kabhi haal-e-soz-e-jaan na kaha

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015

nahīñ ki ham ne kabhī hāl-e-soz-e-jāñ na kahā

magar ba-hīla-e-ārā.ish-e-bayāñ na kahā

koī ḳhatā na huī jis ye mile pādāsh

magar yahī ki zamīnoñ ko āsmāñ na kahā

jis anjuman se huā qissa-e-junūñ āġhāz

vahīñ kabhī na kahā go kahāñ kahāñ na kahā

ye ehtirām-e-ta.alluq ye ehtiyāt to dekh

ki zindagī ko kabhī ham ne rā.egāñ na kahā

tire karam ko karam kahā sitam ko sitam

zahe ḳhulūs-e-tamannā ki imtihāñ na kahā

hazār ḳhushk rahā apnī zindagī chaman

tirī bahār ko lekin kabhī ḳhizāñ na kahā

hameñ bhī nudrat-e-uslūb thī aziiz magar

unheñ jahāñ pukārā ġham-e-jahāñ na kahā

Top Urdushayar.com