bayān-e-dard-e-mohabbat  jo  baar  baar  na  ho
koī  naqāb  tire  ruḳh  kī  parda-dār  na  ho
salām-e-shauq  kī  jur.at  se  dil  laraztā  hai
kahīñ  mizāj  girāmī  pe  ye  bhī  baar  na  ho
karam  pe  aa.eñ  to  har  har  adā  meñ  ishq  hī  ishq
na  ho  to  un  kā  taġhāful  bhī  āshkār  na  ho
yahī  ḳhayāl  rahā  pattharoñ  kī  bārish  meñ
kahīñ  unhīñ  meñ  koī  sañg-e-kū-e-yār  na  ho
abhī  hai  aas  ki  āḳhir  kabhī  to  aa.egā
vo  ek  lamha  ki  jab  terā  intizār  na  ho
bahut  fareb  samajhtā  huuñ  phir  bhī  ai  'ālī'
maiñ  kyā  karūñ  agar  un  par  bhī  e'tibār  na  ho