zehn  par  chhā  ga.ī  maut  kī  be-hisī  niiñd  aane  lagī
DhūñDhtā  huuñ  añdheroñ  meñ  āsūdgī  niiñd  aane  lagī
bhāgte  bhāgte  maut  ke  saa.e  se  ḳhud  hī  dhuñdlā  ga.e
sochte  sochte  zindagī  zindagī  niiñd  aane  lagī
haiñ  isī  ahd  meñ  so  tasavvur  hasīñ  koī  apnā  nahīñ
thak  ga.ī  hai  mire  shauq  kī  sādgī  niiñd  aane  lagī
ḳhatm  haiñ  roz-o-shab  kī  pareshāniyāñ  aur  hairāniyāñ
thī  vo  kyā  shai  jo  ab  tak  nahīñ  mil  sakī  niiñd  aane  lagī
hairat-añgez  rañgoñ  meñ  lipTī  huī  muztarib  naġhmagī
aaj  tak  apnī  lai  meñ  nahīñ  Dhal  sakī  niiñd  aane  lagī
hausloñ  kā  hī  anjām  haiñ  tajarbe  bas  bhare
āshtī  āshtī  āshtī  āshtī  niiñd  aane  lagī
kyā  milā  naġhm-o-rañg  ke  shauq  se  sher  ke  zauq  se
ik  chubhan  ik  dukhan  ek  vāmāñdgī  niiñd  aane  lagī