Jameeluddin Aali

kisi ko naz-e-KHirad hai kisi ko faKHr-e-junun

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015
kisī ko nāz-e-ḳhirad hai kisī ko faḳhr-e-junūñ
maiñ apne dil kā fasāna kahūñ to kis se kahūñ
na iztirāb meñ lazzat na ārzū-e-sukūñ
koī kahe ki maiñ ab kyā fareb khā ke jiyūñ
rahegī phir na ye kaifiyyat-e-talab ai dil
chhupe hue haiñ to hai ishtiyāq-e-dīd fuzūñ
hai aaj dil pe gumāñ husn-e-nā-shanāsī kā
jalā chuke jab use jalvā-hā-e-gūnā-gūñ
ho ab bhī fikr meñ mushkil to yaad aate haiñ
vo har adā meñ taġhazzul ke saikḌoñ mazmūñ
tum aise kaun ḳhudā ho ki umr bhar tum se
umiid bhī na rakhūñ nā-umīd bhī na rahūñ
Top Urdushayar.com